ye jo phailaa huaa zamaana hai
— Nida Fazli
Ye jo phailaa huaa zamaana hai
Is kaa raqba ghareeb-khaana hai
Koi manzar sadaa nahin rahtaa
Har ta.alluq musaafiraana hai
Des pardes kya parindon kaa
Aab-o-daana hee aashiyaana hai
Kaisee masjid kahaan kaa but-khaana
Har jagah us kaa aastaana hai
Ishq kee umr kam hee hotee hai
Baaqee jo kuch hai dostaana hai