ab to firaaq e subh men bujhne lagii hayaat
— Obaidullah Aleem
Ab to firaaq-e-sub.h men bujhne lagee hayaat
Baar-e-ilaah kitne pahar rah ga.ee hai raat
Har teergee men too ne utaaree hai raushnee
Ab khud utar ke aa ki siyah-tar hai kaa.enaat
Kuchh aa.ine se rakkhe hue hain sar-e-vajood
Aur in men apna jashn manaatee hai meree zaat
Bole nahin wo harf jo eemaan men na the
Likkhee nahin wo baat jo apnee nahin thee baat
Ab to firaq-e-subh mein bujhne lagi hayat
Bar-e-ilah kitne pahar rah gai hai raat
Har tirgi mein tu ne utari hai raushni
Ab KHud utar ke aa ki siyah-tar hai kaenat
Kuchh aaine se rakkhe hue hain sar-e-wajud
Aur in mein apna jashn manati hai meri zat
Bole nahin wo harf jo iman mein na the
Likkhi nahin wo baat jo apni nahin thi baat