ajiib thii wo ajab tarah chaahtaa thaa main
— Obaidullah Aleem
Ajiib thee wo ajab tarah chaahtaa thaa main
Vo baat kartee thee aur khvaab dekhtaa thaa main
Visaal kaa ho ki us ke firaaq kaa mausam
Vo lazzaten thiin ki andar se TooTtaa thaa main
ChaDhaa huaa thaa wo nashsha ki kam na hota thaa
Hazaar baar ubhartaa thaa Doobtaa thaa main
Badan kaa khel thiin us kee mohabbaten lekin
Jo bhed jism ke the jaan se kholtaa thaa main
Phir is tarah kabhi soyaa na is tarah jaagaa
Ki ruuh niind men thee aur jaagtaa thaa main
Kahaan shikast huee aur kahaan sila paayaa
Kisee kaa ishq kisee se nibaahtaa thaa main
Main ahl-e-zar ke muqaabil men thaa faqat shaa.er
Magar main jiit gaya lafz haartaa thaa main
Ajib thi wo ajab tarah chahta tha main
Wo baat karti thi aur KHwab dekhta tha main
Visal ka ho ki us ke firaq ka mausam
Wo lazzaten thin ki andar se TuTta tha main
ChaDha hua tha wo nashsha ki kam na hota tha
Hazar bar ubharta tha Dubta tha main
Badan ka khel thin us ki mohabbaten lekin
Jo bhed jism ke the jaan se kholta tha main
Phir is tarah kabhi soya na is tarah jaga
Ki ruh nind mein thi aur jagta tha main
Kahan shikast hui aur kahan sila paya
Kisi ka ishq kisi se nibahta tha main
Main ahl-e-zar ke muqabil mein tha faqat shaer
Magar main jit gaya lafz haarta tha main