alfaaz
— Obaidullah Aleem
Ye lafz suqraat lafz iisaa
Main in kaa khaaliq ye mere khaaliq
Yahee azal hain yahee abad hain yahee zamaan hain yahee makaan hain
Ye zehn-taa-zehn rah-guzar hain ye rooh-taa-rooh ik safar hain
Sadaaqat-e-asr bhee yahee hain karaahat-e-jabr bhee yahee hain
Alaamat-e-dard bhee yahee hain karaamat-e-sabr bhee yahee hain
Baghair tafreeq-e-rang-o-maz.hab zameen zameen in kee baadshaahee
Khinche hue hain lahoo lahoo men bichhe hue hain zabaan zabaan par
Ye jhuuT bhee hain ye luuT bhee hain ye jang bhee hain ye Khoon bhee hain
Magar ye majbooriyaan hain in kee
Baghair in ke hayaat saaree tavahhumaatee
Har ek harakat sukoot Thahre
Na kah saken Kuch na sun saken Kuch
Har ek aa.eena apnee akkaasiyon pe hairaan ho aur chup ho
Nigaah-e-nazzaara-been tamaashaa ho vahshaton kaa
Ijaazat-e-jalva de ke jaise zabaan se goyaa.ee chheen lee jaa.e
Na husn Kuch ho na ishq Kuch ho
Tamaam ehsaas kee havaa.en tamaam irfaan ke jazeere tamaam ye ilm ke samundar
Saraab hon vahm hon gumaan hon
Ye lafz tesha hain jin se afkaar apnee soorat taraashte hain
Maseeh-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaaz bolte hain
Yahee musavvir yahee hain but-gar yahee hain shaa.er
Yahee mughannee yahee navaa hain
Yahee payambar yahee khuda hain
Main keemiyaa hoon ye keemiyaa-gar
Ye meraa kalyaan chaahte hain
Main in kee taskheer kar raha hoon
Ye meree ta.ameer kar rahe hain
Ye lafz suqraat lafz isa
Main in ka KHaliq ye mere KHaliq
Yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain
Ye zehn-ta-zehn rah-guzar hain ye ruh-ta-ruh ek safar hain
Sadaqat-e-asr bhi yahi hain karahat-e-jabr bhi yahi hain
Alamat-e-dard bhi yahi hain karamat-e-sabr bhi yahi hain
Baghair tafriq-e-rang-o-mazhab zamin zamin in ki baadshahi
Khinche hue hain lahu lahu mein bichhe hue hain zaban zaban par
Ye jhuT bhi hain ye luT bhi hain ye jang bhi hain ye KHun bhi hain
Magar ye majburiyan hain in ki
Baghair in ke hayat sari tawahhumati
Har ek harakat sukut Thahre
Na kah saken Kuch na sun saken Kuch
Har ek aaina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho
Nigah-e-nazzara-bin tamasha ho wahshaton ka
Ijazat-e-jalwa de ke jaise zaban se goyai chhin li jae
Na husn Kuch ho na ishq Kuch ho
Tamam ehsas ki hawaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar
Sarab hon wahm hon guman hon
Ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain
Masih-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain
Yahi musawwir yahi hain but-gar yahi hain shaer
Yahi mughanni yahi nawa hain
Yahi payambar yahi KHuda hain
Main kimiya hun ye kimiya-gar
Ye mera kalyan chahte hain
Main in ki tasKHir kar raha hun
Ye meri tamir kar rahe hain