banaa gulaab to kaante chubhaa gaya ik shakhs
— Obaidullah Aleem
Banaa gulaab to kaanTe chubhaa gaya ik shakhs
Huaa charaagh to ghar hee jalaa gaya ik shakhs
Tamaam rang mire aur saare khvaab mire
Fasaana the ki fasaana banaa gaya ik shakhs
Main kis havaa men uDuun kis fazaa men lahraa.oon
Dukhon ke jaal har ik soo bichhaa gaya ik shakhs
PalaT sakoon hee na aage hee baDh sakoon jis par
Mujhe ye kaun se raste lagaa gaya ik shakhs
Mohabbaten bhee ajab us kee nafraten bhee kamaal
Miree hee tarah kaa mujh men samaa gaya ik shakhs
Mohabbaton ne kisee kee bhulaa rakhaa thaa use
Mile wo zakhm ki phir yaad aa gaya ik shakhs
Khulaa ye raaz ki aa.eena-khaana hai Dunya
Aur us men mujh ko tamaashaa banaa gaya ik shakhs
Bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs
Hua charagh to ghar hi jala gaya ek shaKHs
Tamam rang mere aur sare KHwab mere
Fasana the ki fasana bana gaya ek shaKHs
Main kis hawa mein uDun kis faza mein lahraun
Dukhon ke jal har ek su bichha gaya ek shaKHs
PalaT sakun hi na aage hi baDh sakun jis par
Mujhe ye kaun se raste laga gaya ek shaKHs
Mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal
Meri hi tarah ka mujh mein sama gaya ek shaKHs
Mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use
Mile wo zaKHm ki phir yaad aa gaya ek shaKHs
Khula ye raaz ki aaina-KHana hai duniya
Aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ek shaKHs