dil hi the ham dukhe hue tum ne dukhaa liyaa to kya
— Obaidullah Aleem
Dil hee the ham dukhe hue tum ne dukhaa liyaa to kya
Tum bhee to be-amaan hue ham ko sataa liyaa to kya
Aap ke ghar men har taraf manzar-e-maah-o-aaftaab
Ek charaagh-e-shaam agar main ne jalaa liyaa to kya
Baagh kaa baagh aap kee dastaras-e-havas men hai
Ek ghareeb ne agar phuul uThaa liyaa to kya
Lutf ye hai ki aadmee aam kare bahaar ko
Mauj-e-havaa-e-rang men aap nahaa liyaa to kya
Ab kaheen boltaa nahin ghaib jo kholtaa nahin
Aisaa agar koi khuda tum ne banaa liyaa to kya
Jo hai khuda kaa aadmee us kee hai saltanat alag
Zulm ne zulm se agar haath milaa liyaa to kya
Aaj kee hai jo karbalaa kal pe hai us kaa faisla
Aaj hee aap ne agar jashn manaa liyaa to kya
Log dukhe hue tamaam rang bujhe hue tamaam
Aise men ahl-e-shaam ne shahr sajaa liyaa to kya
PaDhtaa nahin hai ab koi suntaa nahin hai ab koi
Harf jagaa liyaa to kya sher sunaa liyaa to kya
Dil hi the hum dukhe hue tum ne dukha liya to kya
Tum bhi to be-aman hue hum ko sata liya to kya
Aap ke ghar mein har taraf manzar-e-mah-o-aftab
Ek charagh-e-sham agar main ne jala liya to kya
Bagh ka bagh aap ki dastaras-e-hawas mein hai
Ek gharib ne agar phul uTha liya to kya
Lutf ye hai ki aadmi aam kare bahaar ko
Mauj-e-hawa-e-rang mein aap naha liya to kya
Ab kahin bolta nahin ghaib jo kholta nahin
Aisa agar koi KHuda tum ne bana liya to kya
Jo hai KHuda ka aadmi us ki hai saltanat alag
Zulm ne zulm se agar hath mila liya to kya
Aaj ki hai jo karbala kal pe hai us ka faisla
Aaj hi aap ne agar jashn mana liya to kya
Log dukhe hue tamam rang bujhe hue tamam
Aise mein ahl-e-sham ne shahr saja liya to kya
PaDhta nahin hai ab koi sunta nahin hai ab koi
Harf jaga liya to kya sher suna liya to kya