dukhe hue hain hamen aur ab dukhaao mat

Obaidullah Aleem

Dukhe hue hain hamen aur ab dukhaao mat Jo ho ga.e ho fasaana to yaad aao mat Khayaal-o-khvaab men parchhaa.iyaan see naachtee hain Ab is tarah to miree ruuh men samaao mat Zameen ke log to kya do dilon kee chaahat men Khudaa bhee ho to use darmiyaan laao mat Tumhaaraa sar nahin tiflaan-e-rah-guzar ke liye Dayaar-e-sang men ghar se nikal ke jaao mat Sivaa.e apne kisee ke bhee ho nahin sakte Ham aur log hain logo hamen sataao mat Hamaare ahd men ye rasm-e-aashiqee Thahree Faqeer ban ke raho aur sadaa lagaao mat Vahee likho jo lahoo kee zabaan se miltaa hai Sukhan ko parda-e-alfaaz men chhupaao mat Supurd kar hee diyaa aatish-e-hunar ke to phir Tamaam khaak hee ho jaao Kuch bachaao mat Dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat Jo ho gae ho fasana to yaad aao mat KHayal-o-KHwab mein parchhaiyan si nachti hain Ab is tarah to meri ruh mein samao mat Zamin ke log to kya do dilon ki chahat mein KHuda bhi ho to use darmiyan lao mat Tumhaara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye Dayar-e-sang mein ghar se nikal ke jao mat Siwae apne kisi ke bhi ho nahin sakte Hum aur log hain logo hamein satao mat Hamare ahd mein ye rasm-e-ashiqi Thahri Faqir ban ke raho aur sada lagao mat Wahi likho jo lahu ki zaban se milta hai SuKHan ko parda-e-alfaz mein chhupao mat Supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir Tamam KHak hi ho jao Kuch bachao mat