guzro na is tarah ki tamaashaa nahin hoon main
— Obaidullah Aleem
Guzro na is tarah ki tamaashaa nahin hoon main
Samjho ki ab hoon aur dobaara nahin hoon main
Ik tab.a rang rang thee so nazr-e-gul huee
Ab ye ki apne saath bhee rahtaa nahin hoon main
Tum ne bhee mere saath uThaa.e hain dukh bahut
Khush hoon ki raah-e-shauq men tanhaa nahin hoon main
Peechhe na bhaag vaqt kee ai naa-shanaas dhoop
Saayon ke darmiyaan hoon saayaa nahin hoon main
Jo Kuch bhee hoon main apnee hee soorat men hoon 'aleem'
'ghaalib' nahin hoon 'meer'-o-'yagaana' nahin hoon main
Guzro na is tarah ki tamasha nahin hun main
Samjho ki ab hun aur dobara nahin hun main
Ek taba rang rang thi so nazr-e-gul hui
Ab ye ki apne sath bhi rehta nahin hun main
Tum ne bhi mere sath uThae hain dukh bahut
KHush hun ki rah-e-shauq mein tanha nahin hun main
Pichhe na bhag waqt ki ai na-shanas dhup
Sayon ke darmiyan hun saya nahin hun main
Jo Kuch bhi hun main apni hi surat mein hun 'alim'
'ghaalib' nahin hun 'mir'-o-'yagana' nahin hun main