ham ne khulne na diyaa be sar o saamaanii ko
— Obaidullah Aleem
Ham ne khulne na diyaa be-sar-o-saamaanee ko
Kahaan le jaa.en magar shahr kee veeraanee ko
Sirf guftaar se zakhmon kaa rafoo chaahte hain
Ye siyaasat hai to phir kya kaheen naadaanee ko
Koee taqseem na.ee kar ke chalaa jaataa hai
Jo bhee aataa hai mire ghar kee nigahbaanee ko
Ab kahaan jaaon ki ghar men bhee hoon dushman apna
Aur baahar miraa dushman hai nigahbaanee ko
Be-hisee wo hai ki kartaa nahin insaan mahsoos
Apnee hee ruuh men aa.ee huee tughyaanee ko
Aaj bhee us ko faraaz aaj bhee aalee hai vahee
Vahee sajda jo kare vaqt kee sultaanee ko
Aaj yoosuf pe agar vaqt ye laa.e ho to kya
Kal tumheen takht bhee doge isee zindaanee ko
Sub.h khalne kee ho yaa shaam bikhar jaane kee
Ham ne khushboo hee kiyaa apnee pareshaanee ko
Vo bhee har-aan nayaa meree mohabbat bhee na.ee
Jalva-e-husn kashish hai miree hairaanee ko
Kooza-e-harf men laayaa hoon tumhaaree khaatir
Ruuh par utre hue ek ajab paanee ko
Hum ne khulne na diya be-sar-o-samani ko
Kahan le jaen magar shahr ki virani ko
Sirf guftar se zaKHmon ka rafu chahte hain
Ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko
Koi taqsim nai kar ke chala jata hai
Jo bhi aata hai mere ghar ki nigahbani ko
Ab kahan jaun ki ghar mein bhi hun dushman apna
Aur bahar mera dushman hai nigahbani ko
Be-hisi wo hai ki karta nahin insan mahsus
Apni hi ruh mein aai hui tughyani ko
Aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai wahi
Wahi sajda jo kare waqt ki sultani ko
Aaj yusuf pe agar waqt ye lae ho to kya
Kal tumhin taKHt bhi doge isi zindani ko
Subh khalne ki ho ya sham bikhar jaane ki
Hum ne KHushbu hi kiya apni pareshani ko
Wo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai
Jalwa-e-husn kashish hai meri hairani ko
Kuza-e-harf mein laya hun tumhaari KHatir
Ruh par utre hue ek ajab pani ko