har awaaz zamistaanii hai har jazba zindaanii hai

Obaidullah Aleem

Har awaaz zamistaanee hai har jazba zindaanee hai Koocha-e-yaar se daar-o-rasan tak ek see hee veeraanee hai Kitne koh-e-giraan kaaTe tab sub.h-e-tarab kee diid huee Aur ye sub.h-e-tarab bhee yaaro kahte hain begaanee hai Jitne aag ke Dariya men sab paar hameen ko karnaa hain Duniyaa kis ke saath aa.ee hai Dunya to deevaanee hai Lamha lamha khvaab dikhaa.e aur sau sau ta.abeer kare Lazzat-e-kam-aazaar bahut hai jis kaa naam javaanee hai Dil kahtaa hai wo Kuch bhee ho us kee yaad jagaa.e rakh Aql ye kahtee hai ki tavahhum par jiinaa naadaanee hai Tere pyaar se pahle kab thaa dil men aisa soz-o-gudaaz Tujh se pyaar kiyaa to ham ne apnee qeemat jaanee hai Aap bhee kaise shahar men aa kar shaa.ir kahlaa.e hain 'aleem' Dard jahaan kamyaab bahut hai naghmon kee arzaanee hai Har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai Kucha-e-yar se dar-o-rasan tak ek si hi virani hai Kitne koh-e-giran kaTe tab subh-e-tarab ki did hui Aur ye subh-e-tarab bhi yaro kahte hain begani hai Jitne aag ke dariya mein sab par hamin ko karna hain Duniya kis ke sath aai hai duniya to diwani hai Lamha lamha KHwab dikhae aur sau sau tabir kare Lazzat-e-kam-azar bahut hai jis ka nam jawani hai Dil kahta hai wo Kuch bhi ho us ki yaad jagae rakh Aql ye kahti hai ki tawahhum par jina nadani hai Tere pyar se pahle kab tha dil mein aisa soz-o-gudaz Tujh se pyar kiya to hum ne apni qimat jaani hai Aap bhi kaise shahar mein aa kar shair kahlae hain 'alim' Dard jahan kamyab bahut hai naghmon ki arzani hai