ideal
— Obaidullah Aleem
Meree aankhon men koi chehra charaagh-e-aarzoo
Vo meraa aa.eena jis se khud jhalak jaaon kabhi
Aisaa mausam jaise mai pee kar chhalak jaaon kabhi
Yaa koi hai khvaab
Jo dekhaa thaa lekin phir mujhe
Yaad karne par bhee yaad aayaa na thaa
Dil ye kahtaa hai vahee hai hoo-ba-hoo
Jis ko dekhaa thaa kabhi aur saamne paayaa na thaa
Guftugoo us se hai aur hai roo-ba-roo
Khvaab ho jaa.e na lekin guftugoo
Meree aankhon men koi chehra charaagh-e-aarzoo
Meri aankhon mein koi chehra charagh-e-arzu
Wo mera aaina jis se KHud jhalak jaun kabhi
Aisa mausam jaise mai pi kar chhalak jaun kabhi
Ya koi hai KHwab
Jo dekha tha lekin phir mujhe
Yaad karne par bhi yaad aaya na tha
Dil ye kahta hai wahi hai hu-ba-hu
Jis ko dekha tha kabhi aur samne paya na tha
Guftugu us se hai aur hai ru-ba-ru
KHwab ho jae na lekin guftugu
Meri aankhon mein koi chehra charagh-e-arzu