kamaal e aadmii ki intihaa hai

Obaidullah Aleem

Kamaal-e-aadmee kee intihaa hai Vo aa.inda men bhee sab se baDaa hai Koee raftaar hogee raushnee kee Magar wo us se bhee aage gaya hai Jahaan baiThe sadaa-e-ghaib aa.ee Ye saaya bhee usee deevaar kaa hai Mujassam ho ga.e sab khvaab mere Mujhe meraa khazaana mil gaya hai Haqeeqat ek hai lazzat men lekin Hikaayat silsila-dar-silsila hai Yoonhee hairaan nahin hain aankh vaale Kaheen ik aa.ina rakkhaa huaa hai Visaal-e-yaar se pahle mohabbat Khud apnee zaat kaa ik raastaa hai Salaamat aa.ine men ek chehra Shikasta ho to kitnaa dekhtaa hai Kamal-e-admi ki intiha hai Wo aainda mein bhi sab se baDa hai Koi raftar hogi raushni ki Magar wo us se bhi aage gaya hai Jahan baiThe sada-e-ghaib aai Ye saya bhi usi diwar ka hai Mujassam ho gae sab KHwab mere Mujhe mera KHazana mil gaya hai Haqiqat ek hai lazzat mein lekin Hikayat silsila-dar-silsila hai Yunhi hairan nahin hain aankh wale Kahin ek aaina rakkha hua hai Visal-e-yar se pahle mohabbat KHud apni zat ka ek rasta hai Salamat aaine mein ek chehra Shikasta ho to kitna dekhta hai