khayaal o khvaab huii hain mohabbaten kaisii
— Obaidullah Aleem
Khayaal-o-khvaab huee hain mohabbaten kaisee
Lahoo men naach rahi hain ye vahshaten kaisee
Na shab ko chaand hee achchhaa na din ko mehr achchhaa
Ye ham pe biit rahi hain qayaamaten kaisee
Vo saath thaa to khuda bhee thaa mehrbaan kya kya
BichhaD gaya to huee hain adaavaten kaisee
Azaab jin kaa tabassum savaab jin kee nigaah
Khinchee huee hain pas-e-jaan ye sooraten kaisee
Havaa ke dosh pe rakkhe hue charaagh hain ham
Jo bujh ga.e to havaa se shikaayaten kaisee
Jo be-khabar koi guzraa to ye sadaa de dee
Main sang-e-raah hoon mujh par inaayaten kaisee
Naheen ki husn hee nairangiyon men taaq nahin
Junoon bhee khel raha hai siyaasaten kaisee
Na saahbaan-e-junoon hain na ahl-e-kashf-o-kamaal
Hamaare ahd men aa.iin kasaafaten kaisee
Jo abr hai vahee ab sang-o-khisht laataa hai
Fazaa ye ho to dilon men nazaakaten kaisee
Ye daur-e-be-hunaraan hai bachaa rakho khud ko
Yahaan sadaaqaten kaisee karaamaten kaisee
KHayal-o-KHwab hui hain mohabbaten kaisi
Lahu mein nach rahi hain ye wahshaten kaisi
Na shab ko chand hi achchha na din ko mehr achchha
Ye hum pe bit rahi hain qayamaten kaisi
Wo sath tha to KHuda bhi tha mehrban kya kya
BichhaD gaya to hui hain adawaten kaisi
Azab jin ka tabassum sawab jin ki nigah
Khinchi hui hain pas-e-jaan ye suraten kaisi
Hawa ke dosh pe rakkhe hue charagh hain hum
Jo bujh gae to hawa se shikayaten kaisi
Jo be-KHabar koi guzra to ye sada de di
Main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi
Nahin ki husn hi nairangiyon mein taq nahin
Junun bhi khel raha hai siyasaten kaisi
Na sahban-e-junun hain na ahl-e-kashf-o-kamal
Hamare ahd mein aain kasafaten kaisi
Jo abr hai wahi ab sang-o-KHisht lata hai
Faza ye ho to dilon mein nazakaten kaisi
Ye daur-e-be-hunaran hai bacha rakho KHud ko
Yahan sadaqaten kaisi karamaten kaisi