Kuch ishq thaa Kuch majbuurii thii so main ne jiivan vaar diyaa
— Obaidullah Aleem
Kuch ishq thaa Kuch majbooree thee so main ne jeevan vaar diyaa
Main kaisaa zinda aadmee thaa ik shakhs ne mujh ko maar diyaa
Ik sabz shaakh gulaab kee thaa ik Dunya apne khvaab kee thaa
Vo ek bahaar jo aa.ee nahin us ke liye sab Kuch haar diyaa
Ye sajaa-sajaayaa ghar saathee miree zaat nahin miraa haal nahin
Ai kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazaar diyaa
Main khulee huee ik sachchaa.ee mujhe jaanne vaale jaante hain
Main ne kin logon se nafrat kee aur kin logon ko pyaar diyaa
Vo ishq bahut mushkil thaa magar aasaan na thaa yuun jiinaa bhee
Us ishq ne zinda rehne kaa mujhe zarf diyaa pindaar diyaa
Main rotaa hoon aur aasmaan se taare TooTte dekhtaa hoon
Un logon par jin logon ne mire logon ko aazaar diyaa
Vo yaar hon yaa mahboob mire yaa kabhi kabhi milne vaale
Ik lazzat sab ke milne men wo zakhm diyaa yaa pyaar diyaa
Mire bachchon ko allaah rakhe in taaza havaa ke jhonkon ne
Main khushk peD khizaan kaa thaa mujhe kaisaa barg-o-baar diyaa
Kuchh ishq tha Kuch majburi thi so main ne jiwan war diya
Main kaisa zinda aadmi tha ek shaKHs ne mujh ko mar diya
Ek sabz shaKH gulab ki tha ek duniya apne KHwab ki tha
Wo ek bahaar jo aai nahin us ke liye sab Kuch haar diya
Ye saja-sajaya ghar sathi meri zat nahin mera haal nahin
Ai kash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazar diya
Main khuli hui ek sachchai mujhe jaanne wale jaante hain
Main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyar diya
Wo ishq bahut mushkil tha magar aasan na tha yun jina bhi
Us ishq ne zinda rehne ka mujhe zarf diya pindar diya
Main rota hun aur aasman se tare TuTte dekhta hun
Un logon par jin logon ne mere logon ko aazar diya
Wo yar hon ya mahbub mere ya kabhi kabhi milne wale
Ek lazzat sab ke milne mein wo zaKHm diya ya pyar diya
Mere bachchon ko allah rakhe in taza hawa ke jhonkon ne
Main KHushk peD KHizan ka tha mujhe kaisa barg-o-bar diya