Kuch to bataao shaair e bedaar kya huaa
— Obaidullah Aleem
Kuch to bataao shaa.ir-e-bedaar kya huaa
Kis kee talaash hai tumhen aur kaun kho gaya
Aankhon men raushnee bhee hai veeraaniyaan bhee hain
Ik chaand saath saath hai ik chaand gah gaya
Tum ham-safar hue to huee zindagee aziiz
Mujh men to zindagee kaa koi hausla na thaa
Tum hee kaho ki ho bhee sakegaa miraa ilaaj
Aglee mohabbaton ke mire zakhm-aashnaa
Jhaankaa hai main ne khalvat-e-jaan men nigaar-e-jaan
Koee nahin hai koi nahin hai tire sivaa
Vo aur thaa koi jise dekhaa hai bazm men
Gar mujh ko DhoonDnaa hai miree khalvaton men aa
Ai mere khvaab aa miree aankhon ko rang de
Ai meree raushnee too mujhe raastaa dikhaa
Ab aa bhee jaa ki sub.h se pahle hee bujh na jaaon
Ai mere aaftaab bahut tez hai havaa
Yaa-rab ataa ho zakhm koi sher-aafreen
Ik umr ho ga.ee ki miraa dil nahin dukhaa
Vo daur aa gaya hai ki ab saahibaan-e-dard
Jo khvaab dekhte hain vahee khvaab naa-rasaa
Daaman bane to rang huaa dastaras se duur
Mauj-e-havaa hue to hai khushboo gurez-paa
Likkhen bhee kya ki ab koi ahvaal-e-dil nahin
Cheekhen bhee kya ki ab koi suntaa nahin sadaa
Aankhon men Kuch nahin hai ba-juz khaak-e-rahguzar
Siine men Kuch nahin hai ba-juz naala-o-navaa
Pahchaan lo hamen ki tumhaaree sadaa hain ham
Sun lo ki phir na aa.enge ham se ghazal-saraa
Kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
Kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya
Aankhon mein raushni bhi hai viraniyan bhi hain
Ek chand sath sath hai ek chand gah gaya
Tum ham-safar hue to hui zindagi aziz
Mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha
Tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaj
Agli mohabbaton ke mere zaKHm-ashna
Jhanka hai main ne KHalwat-e-jaan mein nigar-e-jaan
Koi nahin hai koi nahin hai tere siwa
Wo aur tha koi jise dekha hai bazm mein
Gar mujh ko DhunDna hai meri KHalwaton mein aa
Ai mere KHwab aa meri aankhon ko rang de
Ai meri raushni tu mujhe rasta dikha
Ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun
Ai mere aaftab bahut tez hai hawa
Ya-rab ata ho zaKHm koi sher-afrin
Ek umr ho gai ki mera dil nahin dukha
Wo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard
Jo KHwab dekhte hain wahi KHwab na-rasa
Daman bane to rang hua dastaras se dur
Mauj-e-hawa hue to hai KHushbu gurez-pa
Likkhen bhi kya ki ab koi ahwal-e-dil nahin
ChiKHen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada
Aankhon mein Kuch nahin hai ba-juz KHak-e-rahguzar
Sine mein Kuch nahin hai ba-juz nala-o-nawa
Pahchan lo hamein ki tumhaari sada hain hum
Sun lo ki phir na aaenge hum se ghazal-sara