kuucha e ishq se kuch khvaab uthaa kar le aae
— Obaidullah Aleem
Koocha-e-ishq se kuch khvaab uThaa kar le aa.e
The gadaa tohfa-e-naayaab uThaa kar le aa.e
Kaun see kashtee men baiThen tire bande maulaa
Ab jo dunya koi sailaab uThaa kar le aa.e
Haa.e wo log ga.e chaand se milne aur phir
Apne hee TuuTe hue khvaab uThaa kar le aa.e
Aisaa ziddee tha miraa ishq na bahlaa phir bhee
Log sach-much ka.ee mahtaab uThaa kar le aa.e
Sat.h-e-saahil na rahi jab koi qeemat in kee
Ham khazaanon ko tah-e-aab uThaa kar le aa.e
Jab milaa husn bhee harjaa.ee to us bazm se ham
Ishq-e-aavaara ko betaab uThaa kar le aa.e
Is ko kam-zarfi-e-rindaan-e-giraamee kahiye
Nashe chhoD aa.e mai-e-naab uThaa kar le aa.e
Anjuman-saazi-e-arbaab-e-hunar kya kahiye
Un ko wo aur unhen ahbaab uThaa kar le aa.e
Ham wo shaa.ir hamen likhne lage jab log to ham
Guftugoo ke na.e aadaab uThaa kar le aa.e
Khvaab men lazzat-e-yak-khvaab hai dunya meree
Aur mire falsafee asbaab uThaa kar le aa.e
Kucha-e-ishq se kuch KHwab uTha kar le aae
The gada tohfa-e-nayab uTha kar le aae
Kaun si kashti mein baiThen tere bande maula
Ab jo duniya koi sailab uTha kar le aae
Hae wo log gae chand se milne aur phir
Apne hi TuTe hue KHwab uTha kar le aae
Aisa ziddi tha mera ishq na bahla phir bhi
Log sach-much kai mahtab uTha kar le aae
Sath-e-sahil na rahi jab koi qimat in ki
Hum KHazanon ko tah-e-ab uTha kar le aae
Jab mila husn bhi harjai to us bazm se hum
Ishq-e-awara ko betab uTha kar le aae
Is ko kam-zarfi-e-rindan-e-girami kahiye
Nashe chhoD aae mai-e-nab uTha kar le aae
Anjuman-sazi-e-arbab-e-hunar kya kahiye
Un ko wo aur unhen ahbab uTha kar le aae
Hum wo shair hamein likhne lage jab log to hum
Guftugu ke nae aadab uTha kar le aae
KHwab mein lazzat-e-yak-KHwab hai duniya meri
Aur mere falsafi asbab uTha kar le aae