mittii thaa main khamiir tire naaz se uthaa

Obaidullah Aleem

MiTTee thaa main khameer tire naaz se uThaa Phir haft-aasmaan miree parvaaz se uThaa Insaan ho kisee bhee sadee kaa kaheen kaa ho Ye jab uThaa zameer kee awaaz se uThaa Sub.h-e-chaman men ek yahee aaftaab thaa Is aadmee kee laash ko e.azaaz se uThaa Sau kartabon se likhkhaa gaya ek ek lafz Lekin ye jab uThaa kisee e.ajaaz se uThaa Ai shahsavaar-e-husn ye dil hai ye meraa dil Ye teree sar-zameen hai qadam naaz se uThaa Main poochh luun ki kya hai miraa jabr o ikhtiyaar Yaa-rab ye mas.ala kabhi aaghaaz se uThaa Vo abr shabnamee thaa ki nahlaa gaya vajood Main khvaab dekhtaa huaa alfaaz se uThaa Shaa.er kee aankh kaa wo sitaara huaa 'aleem' Qaamat men jo qayaamatee andaaz se uThaa MiTTi tha main KHamir tere naz se uTha Phir haft-asman meri parwaz se uTha Insan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho Ye jab uTha zamir ki aawaz se uTha Subh-e-chaman mein ek yahi aaftab tha Is aadmi ki lash ko eazaz se uTha Sau kartabon se likhkha gaya ek ek lafz Lekin ye jab uTha kisi eajaz se uTha Ai shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil Ye teri sar-zamin hai qadam naz se uTha Main puchh lun ki kya hai mera jabr o iKHtiyar Ya-rab ye masala kabhi aaghaz se uTha Wo abr shabnami tha ki nahla gaya wajud Main KHwab dekhta hua alfaz se uTha Shaer ki aankh ka wo sitara hua 'alim' Qamat mein jo qayamati andaz se uTha