paa ba zanjiir sahii zamzama khvaan hain ham log

Obaidullah Aleem

Paa-ba-zanjeer sahee zamzama-khvaan hain ham log Mahfil-e-vaqt tiree rooh-e-ravaan hain ham log Dosh par baar-e-shab-e-gham liye gul kee maanind Kaun samjhe ki mohabbat kee zabaan hain ham log Khuub paayaa hai sila teree parastaaree kaa Dekh ai sub.h-e-tarab aaj kahaan hain ham log Ik mataa'-e-dil-o-jaan paas thee so haar chuke Haa.e ye vaqt ki ab khud pe garaan hain ham log Nik.hat-e-gul kee tarah naaz se chalne vaalo Ham bhee kahte the ki aasooda-e-jaan hain ham log Koee batlaa.e ki kaise ye khabar 'aam karen DhoonDtee hai jise Dunya wo nishaan hain ham log Qismat-e-shab-zadagaan jaag hee jaa.egee 'aleem' Jaras-e-qaafila-e-khush-khabaraan hain ham log Pa-ba-zanjir sahi zamzama-KHwan hain hum log Mahfil-e-waqt teri ruh-e-rawan hain hum log Dosh par bar-e-shab-e-gham liye gul ki manind Kaun samjhe ki mohabbat ki zaban hain hum log KHub paya hai sila teri parastari ka Dekh ai subh-e-tarab aaj kahan hain hum log Ek mata'-e-dil-o-jaan pas thi so haar chuke Hae ye waqt ki ab KHud pe garan hain hum log Nikhat-e-gul ki tarah naz se chalne walo Hum bhi kahte the ki aasuda-e-jaan hain hum log Koi batlae ki kaise ye KHabar 'am karen DhunDti hai jise duniya wo nishan hain hum log Qismat-e-shab-zadagan jag hi jaegi 'alim' Jaras-e-qafila-e-KHush-KHabaran hain hum log