shikast e jaan se sivaa bhi hai kaar e fan kya kya
— Obaidullah Aleem
Shikast-e-jaan se sivaa bhee hai kaar-e-fan kya kya
Azaab kheench raha hai miraa badan kya kya
Na koi hijr kaa din hai na koi vasl kee raat
Magar wo shakhs ki hai jaan-e-anjuman kya kya
Adaa huee hai ka.ee baar tark-e-ishq kee rasm
Magar hai sar pe vahee qarz-e-jaan-o-tan kya kya
Nigaah-e-bulhavasaan haa.e kya qayaamat hai
Badal rahe hain gul-o-laala pairahan kya kya
Guzar ga.e to guzarte rahe bahut khursheed
Jo rang laa.ee to laa.ee hai ik kiran kya kya
Qareeb thaa ki main kaar-e-junoon se baaz aa.uun
Khinchee khayaal men tasveer-e-kohkan kya kya
Shikast-e-jaan se siwa bhi hai kar-e-fan kya kya
Azab khinch raha hai mera badan kya kya
Na koi hijr ka din hai na koi wasl ki raat
Magar wo shaKHs ki hai jaan-e-anjuman kya kya
Ada hui hai kai bar tark-e-ishq ki rasm
Magar hai sar pe wahi qarz-e-jaan-o-tan kya kya
Nigah-e-bulhawasan hae kya qayamat hai
Badal rahe hain gul-o-lala pairahan kya kya
Guzar gae to guzarte rahe bahut KHurshid
Jo rang lai to lai hai ek kiran kya kya
Qarib tha ki main kar-e-junun se baz aaun
Khinchi KHayal mein taswir-e-kohkan kya kya