vahshat usii se phir bhi vahii yaar dekhnaa
— Obaidullah Aleem
Vahshat usee se phir bhee vahee yaar dekhnaa
Paagal ko jaise chaand kaa deedaar dekhnaa
Is hijratee ko kaam huaa hai ki raat din
Bas wo charaagh aur wo deevaar dekhnaa
Paanv men ghoomtee hai zameen aasmaan talak
Is tifl-e-sheer-khvaar kee raftaar dekhnaa
Yaa-rab koi sitaara-e-ummeed phir tuloo
Kyaa ho ga.e zameen ke aasaar dekhnaa
Lagtaa hai jaise koi valee hai zuhoor men
Ab shaam ko kaheen koi mai-khvaar dekhnaa
Is vahshatee kaa haal ajab hai ki us taraf
Jaanaa bhee aur jaanib-e-pindaar dekhnaa
Dekhaa tha khvaab shaa.er-e-momin ne is liye
Ta.abeer men milaa hamen talvaar dekhnaa
Jo dil ko hai khabar kaheen miltee nahin khabar
Har sub.h ik azaab hai akhbaar dekhnaa
Main ne sunaa hai qurb-e-qayaamat kaa hai nishaan
Be-qaamatee pe jubba-o-dastaar dekhnaa
Sadiyaan guzar rahi hain magar raushnee vahee
Ye sar hai yaa charaagh sar-e-daar dekhnaa
Is qaafile ne dekh liyaa karbalaa kaa din
Ab rah gaya hai shaam kaa baazaar dekhnaa
Do chaar ke sivaa yahaan likhtaa ghazal hai kaun
Ye kaun hain ye kis ke taraf-daar dekhnaa
Wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna
Pagal ko jaise chand ka didar dekhna
Is hijrati ko kaam hua hai ki raat din
Bas wo charagh aur wo diwar dekhna
Panw mein ghumti hai zamin aasman talak
Is tifl-e-shir-KHwar ki raftar dekhna
Ya-rab koi sitara-e-ummid phir tulu
Kya ho gae zamin ke aasar dekhna
Lagta hai jaise koi wali hai zuhur mein
Ab sham ko kahin koi mai-KHwar dekhna
Is wahshati ka haal ajab hai ki us taraf
Jaana bhi aur jaanib-e-pindar dekhna
Dekha tha KHwab shaer-e-momin ne is liye
Tabir mein mila hamein talwar dekhna
Jo dil ko hai KHabar kahin milti nahin KHabar
Har subh ek azab hai aKHbar dekhna
Main ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishan
Be-qamati pe jubba-o-dastar dekhna
Sadiyan guzar rahi hain magar raushni wahi
Ye sar hai ya charagh sar-e-dar dekhna
Is qafile ne dekh liya karbala ka din
Ab rah gaya hai sham ka bazar dekhna
Do chaar ke siwa yahan likhta ghazal hai kaun
Ye kaun hain ye kis ke taraf-dar dekhna