wo khvaab khvaab fazaa e tarab nahin aaii
— Obaidullah Aleem
Wo khvaab khvaab fazaa-e-tarab nahin aa.ee
Ajiib hee thee wo shab phir wo shab nahin aa.ee
Jo jism o jaan se chalee jism o jaan talak pahunchee
Vo mauj-e-garmi-e-rukhsaar-o-lab nahin aa.ee
To phir charaagh the ham be-charaagh raaton ke
PalaT ke guzree huee raat jab nahin aa.ee
Ajab the harf kee lazzat men jalne vaale log
Ki khaak ho ga.e khu-e-adab nahin aa.ee
Jo abr ban ke barastee hai rooh-e-veeraan par
Bahut dinon se wo awaaz-e-rab nahin aa.ee
Sadaa lagaa.en aur apna mazaaq uDvaa.en
Ye ahl-e-dard pe uftaad kab nahin aa.ee
Kiyaa hai apne hee qadmon ne paa.emaal bahut
Ye ham men kaj-kalhee be-sabab nahin aa.ee
Wo KHwab KHwab faza-e-tarab nahin aai
Ajib hi thi wo shab phir wo shab nahin aai
Jo jism o jaan se chali jism o jaan talak pahunchi
Wo mauj-e-garmi-e-ruKHsar-o-lab nahin aai
To phir charagh the hum be-charagh raaton ke
PalaT ke guzri hui raat jab nahin aai
Ajab the harf ki lazzat mein jalne wale log
Ki KHak ho gae KHu-e-adab nahin aai
Jo abr ban ke barasti hai ruh-e-viran par
Bahut dinon se wo aawaz-e-rab nahin aai
Sada lagaen aur apna mazaq uDwaen
Ye ahl-e-dard pe uftad kab nahin aai
Kiya hai apne hi qadmon ne paemal bahut
Ye hum mein kaj-kalhi be-sabab nahin aai