wo raat be panaah thii aur main ghareeb thaa

Obaidullah Aleem

Wo raat be-panaah thee aur main ghareeb thaa Vo jis ne ye charaagh jalaayaa ajiib thaa Vo raushnee ki aankh uThaa.ee nahin ga.ee Kal mujh se meraa chaand bahut hee qareeb thaa Dekhaa mujhe to tab.a ravaan ho ga.ee miree Vo muskuraa diyaa to main shaa.er adiib thaa Rakhtaa na kyuun main ruuh o badan us ke saamne Vo yuun bhee thaa tabeeb wo yuun bhee tabeeb thaa Har silsila thaa us kaa khuda se milaa huaa Chup ho ki lab-kushaa ho balaa kaa khateeb thaa Mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath Gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb thaa Main bhee raha hoon khalvat-e-jaanaan men ek shaam Ye khvaab hai yaa vaaqa.ee main khush-naseeb thaa Harf-e-duaa o dast-e-sakhaavat ke baab men Khud meraa tajraba hai wo be-had najeeb thaa Dekhaa hai us ko khalvat o jalvat men baar-haa Vo aadmee bahut hee ajeeb-o-ghareeb thaa Likkho tamaam umar magar phir bhee tum 'aleem' Us ko dikhaa na paao wo aisa habeeb thaa Wo raat be-panah thi aur main gharib tha Wo jis ne ye charagh jalaya ajib tha Wo raushni ki aankh uThai nahin gai Kal mujh se mera chand bahut hi qarib tha Dekha mujhe to taba rawan ho gai meri Wo muskura diya to main shaer adib tha Rakhta na kyun main ruh o badan us ke samne Wo yun bhi tha tabib wo yun bhi tabib tha Har silsila tha us ka KHuda se mila hua Chup ho ki lab-kusha ho bala ka KHatib tha Mauj-e-nashat o sail-e-gham-e-jaan the ek sath Gulshan mein naghma-sanj ajab andalib tha Main bhi raha hun KHalwat-e-jaanan mein ek sham Ye KHwab hai ya waqai main KHush-nasib tha Harf-e-dua o dast-e-saKHawat ke bab mein KHud mera tajraba hai wo be-had najib tha Dekha hai us ko KHalwat o jalwat mein bar-ha Wo aadmi bahut hi ajib-o-gharib tha Likkho tamam umar magar phir bhi tum 'alim' Us ko dikha na pao wo aisa habib tha