zameen jab bhi huii karbalaa hamaare liye
— Obaidullah Aleem
Zameen jab bhee huee karbalaa hamaare liye
To aasmaan se utraa khuda hamaare liye
Unhen ghuroor ki rakhte hain taaqat o kasrat
Hamen ye naaz bahut hai khuda hamaare liye
Tumhaare naam pe jis aag men jalaa.e ga.e
Vo aag phuul hai wo keemiyaa hamaare liye
Bas ek lau men usee lau ke gird ghoomte hain
Jalaa rakhaa hai jo us ne diyaa hamaare liye
Vo jis pe raat sitaare liye utartee hai
Vo ek shakhs duaa hee duaa hamaare liye
Vo nuur nuur damaktaa huaa saa ik chehraa
Vo aa.inon men hayaa hee hayaa hamaare liye
Darood paDhte hue us kee diid ko niklen
To sub.h phuul bichhaa.e sabaa hamaare liye
Ajiib kaifiyat-e-jazb-o-haal rakhtee hai
Tumhaare shahr kee aab-o-havaa hamaare liye
Diye jalaa.e hue saath saath rahtee hai
Tumhaaree yaad tumhaaree duaa hamaare liye
Zameen hai na zamaan niind hai na be-daaree
Vo Chaaon Chaaon saa ik silsila hamaare liye
Sukhan-varon men kaheen ek ham bhee the lekin
Sukhan kaa aur hee thaa zaa.iqa hamaare liye
Zamin jab bhi hui karbala hamare liye
To aasman se utra KHuda hamare liye
Unhen ghurur ki rakhte hain taqat o kasrat
Hamein ye naz bahut hai KHuda hamare liye
Tumhaare nam pe jis aag mein jalae gae
Wo aag phul hai wo kimiya hamare liye
Bas ek lau mein usi lau ke gird ghumte hain
Jala rakha hai jo us ne diya hamare liye
Wo jis pe raat sitare liye utarti hai
Wo ek shaKHs dua hi dua hamare liye
Wo nur nur damakta hua sa ek chehra
Wo aainon mein haya hi haya hamare liye
Darud paDhte hue us ki did ko niklen
To subh phul bichhae saba hamare liye
Ajib kaifiyat-e-jazb-o-haal rakhti hai
Tumhaare shahr ki aab-o-hawa hamare liye
Diye jalae hue sath sath rahti hai
Tumhaari yaad tumhaari dua hamare liye
Zamin hai na zaman nind hai na be-dari
Wo chhanw chhanw sa ek silsila hamare liye
SuKHan-waron mein kahin ek hum bhi the lekin
SuKHan ka aur hi tha zaiqa hamare liye