agarche tujh se bahut ikhtilaaf bhi na huaa
— Parveen Shakir
Agarche tujh se bahut ikhtilaaf bhee na huaa
Magar ye dil tiree jaanib se saaf bhee na huaa
Ta.alluqaat ke barzakh men hee rakhaa mujh ko
Wo mere haq men na thaa aur khilaaf bhee na huaa
Ajab thaa jurm-e-mohabbat ki jis pe dil ne mire
Sazaa bhee paa.ee nahin aur muaaf bhee na huaa
Malaamaton men kahaan saans le sakenge wo log
Ki jin se koo-e-jafaa kaa tavaaf bhee na huaa
Ajab nahin hai ki dil par jamee milee kaa.ee
Bahut dinon se to ye hauz saaf bhee na huaa
Havaa-e-dahr hamen kis liye bujhaatee hai
Hamen to tujh se kabhi ikhtilaaf bhee na huaa