bahut royaa wo ham ko yaad kar ke
— Parveen Shakir
Bahut royaa wo ham ko yaad kar ke
Hamaaree zindagee barbaad kar ke
PalaT kar phir yaheen aa jaa.enge ham
Wo dekhe to hamen aazaad kar ke
Rihaa.ee kee koee soorat naheen hai
Magar haan minnat-e-sayyaad kar ke
Badan meraa chhuaa thaa us ne lekin
Gaya hai ruuh ko aabaad kar ke
Har aamir tuul denaa chaahtaa hai
Muqarrar zulm kee mee.aad kar ke