bulaavaa

Parveen Shakir

Main ne saaree umr Kisee mandir men qadam nahin rakkhaa Lekin jab se Teree duaa men Meraa naam shareek huaa hai Tere honTon kee jumbish par Mere andar kee daasee ke ujle tan men GhanTiyaan bajtee rahtee hain! Main ne sari umr Kisi mandir mein qadam nahin rakkha Lekin jab se Teri dua mein Mera nam sharik hua hai Tere honTon ki jumbish par Mere andar ki dasi ke ujle tan mein GhanTiyan bajti rahti hain!