chalne kaa hausla nahin ruknaa muhaal kar diyaa

Parveen Shakir

Chalne kaa hausla naheen ruknaa muhaal kar diyaa Ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa Ai miree gul-zameen tujhe chaah thee ik kitaab kee Ahl-e-kitaab ne magar kya tiraa haal kar diyaa Milte hue dilon ke biich aur thaa faisla koee Us ne magar bichhaDte vaqt aur savaal kar diyaa Ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir Baanu-e-shab ke haath men rakhnaa sambhaal kar diyaa Mumkina faislon men ek hijr kaa faisla bhee thaa Ham ne to ek baat kee us ne kamaal kar diyaa Mere labon pe mohr thee par mere sheesha-roo ne to Shahr ke shahr ko miraa vaaqif-e-haal kar diyaa Chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake Vaqt ne kis shabeeh ko khvaab o khayaal kar diyaa Muddaton ba.ad us ne aaj mujh se koee gila kiyaa Mansab-e-dilbaree pe kya mujh ko bahaal kar diyaa