charaag e raah bujhaa kya ki rahnumaa bhi gaya
— Parveen Shakir
Charaagh-e-raah bujhaa kya ki rahnumaa bhee gaya
Havaa ke saath musaafir kaa naqsh-e-paa bhee gaya
Main phuul chuntee rahee aur mujhe khabar na huee
Wo shakhs aa ke mire shahr se chalaa bhee gaya
Bahut aziiz sahee us ko meree dildaaree
Magar ye hai ki kabhee dil miraa dukhaa bhee gaya
Ab un dareechon pe gahre dabeez parde hain
Wo taank-jhaank kaa ma.asoom silsila bhee gaya
Sab aa.e meree ayaadat ko wo bhee aayaa thaa
Jo sab ga.e to miraa dard-aashnaa bhee gaya
Ye ghurbaten miree aankhon men kaisee utree hain
Ki khvaab bhee mire rukhsat hain ratjagaa bhee gaya