dasne lage hain khvaab magar kis se boliye
— Parveen Shakir
Dasne lage hain khvaab magar kis se boliye
Main jaantee thee paal rahee hoon sanpoliye
Bas ye huaa ki us ne takalluf se baat kee
Aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye
Palkon pe kachchee neendon kaa ras phailtaa ho jab
Aise men aankh dhoop ke rukh kaise kholiye
Teree barahna-paa.ee ke dukh baanTte hue
Ham ne khud apne paanv men kaanTe chubho liye
Main teraa naam le ke tazabzub men paD ga.ee
Sab log apne apne 'azeezon ko ro liye
Khush-boo kaheen na jaa.e pa israar hai bahut
Aur ye bhee aarzoo ki zaraa zulf kholiye
Tasveer jab na.ee hai nayaa canvas bhee hai
Phir tashtaree men rang puraane na gholiye