ek dost ke naam ladkii

Parveen Shakir

LaDkee! Ye lamhe baadal hain Guzar ga.e to haath kabhi nahin aa.enge In ke lams ko piitee jaa Qatra qatra bheegtee jaa Bheegtee jaa too jab tak in men nam hai Aur tire andar kee miTTee pyaasee hai Mujh se poochh Ki baarish ko vaapas aane kaa rasta kabhi na yaad huaa Baal sukhaane ke mausam an-paDh hote hain! LaDki! Ye lamhe baadal hain Guzar gae to hath kabhi nahin aaenge In ke lams ko piti ja Qatra qatra bhigti ja Bhigti ja tu jab tak in mein nam hai Aur tere andar ki miTTi pyasi hai Mujh se puchh Ki barish ko wapas aane ka rasta kabhi na yaad hua Baal sukhane ke mausam an-paDh hote hain!