ek manzar
— Parveen Shakir
Kachchaa saa ik makaan kaheen aabaadiyon se duur
ChhoTaa saa ek hujra faraaz-e-makaan par
Sabze se jhaanktee huee khaprel vaalee chhat
Deevaar-e-chob par koi mausam kee sabz bel
Utree huee pahaaD pe barsaat kee wo raat
Kamre men laalTain kee halkee see raushnee
Vaadee men ghoomtaa huaa baarish kaa jal-tarang
Saanson men goonjtaa huaa ik an-kahee kaa bhed!
Kachcha sa ek makan kahin aabaadiyon se dur
ChhoTa sa ek hujra faraaz-e-makan par
Sabze se jhankti hui khaprel wali chhat
Diwar-e-chob par koi mausam ki sabz bel
Utri hui pahaD pe barsat ki wo raat
Kamre mein lalTain ki halki si raushni
Wadi mein ghumta hua barish ka jal-tarang
Sanson mein gunjta hua ek an-kahi ka bhed!