ek suuraj thaa ki taaron ke gharaane se uthaa
— Parveen Shakir
Ek sooraj thaa ki taaron ke gharaane se uThaa
Aankh hairaan hai kya shakhs zamaane se uThaa
Kis se poochhoon tire aaqaa kaa pata ai rahvaar
Ye alam wo hai na ab tak kisee shaane se uThaa
Halqa-e-khvaab ko hee gird-e-guloo kas Daalaa
Dast-e-qaatil kaa bhee ehsaan na divaane se uThaa
Phir koee aks shuaaon se na banne paayaa
Kaisaa mahtaab mire aa.ina-khaane se uThaa
Kya likhaa thaa sar-e-mahzar jise pahchaante hee
Paas baiThaa huaa har dost bahaane se uThaa