farog farrukh zaad ke liye ek nazm musaahib e shaah se kaho ki
— Parveen Shakir
Musaahib-e-shaah se kaho ki
Faqeeh-e-aazam bhee aaj tasdeeq kar ga.e hain
Ki fasl phir se gunaahgaaron kee pak ga.ee hai
Huzoor kee jumbish-e-nazar ke
Tamaam jallaad muntazir hain
Ki kaun see had janaab jaaree karen
To taameel-e-bandagee ho
Kahaan pe sar aur kahaan pe dastaar utaarnaa ahsan-ul-amal hai
Kahaan pe haathon kahaan zabaanon ko qat.a keejiye
Kahaan pe darvaaza rizq kaa band karnaa hogaa
Kahaan pe aasaa.ishon kee bhookon ko maar diije
Kahaan baTegee luaan kee chhooT
Aur kahaan par
Rajm ke ahkaam jaaree honge
Kahaan pe nau saala bachchiyaan chahal saala mardon ke saath
Sangeen men pirone kaa hukm hogaa
Kahaan pe iqbaalee mulzimon ko
Kisee tarah shak kaa faa.eda ho
Kahaan pe maasoom daar par kheenchnaa paDegaa
Huzoor ahkaam jo bhee jaaree karenge
Faqat iltijaa ye hogee
Ki apne irshaad-e-aaliya ko
Zabaanee rakhen
Vagarna
Qaanoonee uljhanen hain!
Musahib-e-shah se kaho ki
Faqih-e-azam bhi aaj tasdiq kar gae hain
Ki fasl phir se gunahgaron ki pak gai hai
Huzur ki jumbish-e-nazar ke
Tamam jallad muntazir hain
Ki kaun si had janab jari karen
To tamil-e-bandagi ho
Kahan pe sar aur kahan pe dastar utarna ahsan-ul-amal hai
Kahan pe hathon kahan zabanon ko qata kijiye
Kahan pe darwaza rizq ka band karna hoga
Kahan pe aasaishon ki bhukon ko mar dije
Kahan baTegi luan ki chhuT
Aur kahan par
Rajm ke ahkaam jari honge
Kahan pe nau sala bachchiyan chahal sala mardon ke sath
Sangin mein pirone ka hukm hoga
Kahan pe iqbaali mulzimon ko
Kisi tarah shak ka faeda ho
Kahan pe masum dar par khinchna paDega
Huzur ahkaam jo bhi jari karenge
Faqat iltija ye hogi
Ki apne irshad-e-aliya ko
Zabani rakhen
Wagarna
Qanuni uljhanen hain!