ik hunar thaa kamaal thaa kya thaa

Parveen Shakir

Ik hunar thaa kamaal thaa kya thaa Mujh men teraa jamaal thaa kya thaa Tere jaane pe ab ke Kuch na kahaa Dil men Dar thaa malaal thaa kya thaa Barq ne mujh ko kar diyaa raushan Teraa aks-e-jalaal thaa kya thaa Ham tak aayaa too bahr-e-lutf-o-karam Teraa vaqt-e-zavaal thaa kya thaa Jis ne tah se mujhe uchhaal diyaa Doobne kaa khayaal thaa kya thaa Jis pe dil saare ahd bhuul gaya Bhoolne kaa savaal thaa kya thaa Titliyaan the ham aur qazaa ke paas Surkh phoolon kaa jaal thaa kya thaa