kangan bele kaa us ne mere haath men baandhaa
— Parveen Shakir
Us ne mere haath men baandhaa
Ujlaa kangan bele kaa
Pahle pyaar se thaamee kalaa.ee
Ba.ad is ke haule haule pahnaayaa
Gahnaa phoolon kaa
Phir jhuk kar haath ko chuum liyaa
Phuul to aakhir phuul hee the
Murjhaa hee ga.e
Lekin meree raaten un kee khushboo se ab tak raushan hain
Baanhon par wo lams abhee tak taaza hai
Shaakh-e-sanobar par ik chaand damaktaa hai
Phuul kaa gahnaa
Prem kaa kangan
Pyaar kaa bandhan
Ab tak meree yaad ke haath se lipTaa huaa hai
Us ne mere hath mein bandha
Ujla kangan bele ka
Pahle pyar se thami kalai
Baad is ke haule haule pahnaya
Gahna phulon ka
Phir jhuk kar hath ko chum liya
Phul to aaKHir phul hi the
Murjha hi gae
Lekin meri raaten un ki KHushbu se ab tak raushan hain
Banhon par wo lams abhi tak taza hai
ShaKH-e-sanobar par ek chand damakta hai
Phul ka gahna
Prem ka kangan
Pyar ka bandhan
Ab tak meri yaad ke hath se lipTa hua hai