Kuch faisla to ho ki kidhar jaanaa chaahiye

Parveen Shakir

Kuch faisla to ho ki kidhar jaanaa chaahiye Paanee ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye Nashtar-ba-dast shahr se chaaragaree kee lau Ai zakhm-e-be-kasee tujhe bhar jaanaa chaahiye Har baar eDiyon pe giraa hai miraa lahoo Maqtal men ab ba-tarz-e-digar jaanaa chaahiye Kya chal sakenge jin kaa faqat mas.ala ye hai Jaane se pahle rakht-e-safar jaanaa chaahiye Saaraa javaar-bhaaTaa mire dil men hai magar Ilzaam ye bhee chaand ke sar jaanaa chaahiye Jab bhee ga.e azaab-e-dar-o-baam thaa vahee Aakhir ko kitnee der se ghar jaanaa chaahiye Tohmat lagaa ke maan pe jo dushman se daad le Aise sukhan-farosh ko mar jaanaa chaahiye