kuch to havaa bhi sard thii kuch tha tiraa khayaal bhi

Parveen Shakir

Kuch to havaa bhee sard thee kuch tha tiraa khayaal bhee Dil ko khushee ke saath saath hota raha malaal bhee Baat wo aadhee raat kee raat wo puure chaand kee Chaand bhee 'ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhee Sab se nazar bachaa ke wo mujh ko kuch aise dekhtaa Ek daf'a to ruk ga.ee gardish-e-maah-o-saal bhee Dil to chamak sakegaa kya phir bhee tarash ke dekh len Sheesha-giraan-e-shahr ke haath kaa ye kamaal bhee Us ko na paa sake the jab dil kaa 'ajeeb haal tha Ab jo palaT ke dekhiye baat thee kuch muhaal bhee Meree talab tha ek shakhs wo jo nahin milaa to phir Haath du'aa se yuun giraa bhuul gaya savaal bhee Us kee sukhan-taraaziyaan mere liye bhee Dhaal thiin Us kee hansee men chhup gaya apne ghamon kaa haal bhee Gaah qareeb-e-shaah-rag gaah ba.eed-e-vahm-o-khvaab Us kee rafaaqaton men raat hijr bhee tha visaal bhee Us ke hee baazuon men aur us ko hee sochte rahe Jism kee khvaahishon pe the ruuh ke aur jaal bhee Shaam kee naa-samajh havaa poochh rahi hai ik pataa Mauj-e-havaa-e-koo-e-yaar kuch to miraa khayaal bhee