kuu ba kuu phail gaii baat shanaasaaii ki
— Parveen Shakir
Koo-ba-koo phail ga.ee baat shanaasaa.ee kee
Us ne khushboo kee tarah meree pazeeraa.ee kee
Kaise kah duun ki mujhe chhoD diyaa hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai rusvaa.ee kee
Wo kaheen bhee gaya lauTaa to mire paas aayaa
Bas yahee baat hai achchhee mire harjaa.ee kee
Teraa pahloo tire dil kee tarah aabaad rahe
Tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaa.ee kee
Us ne jaltee huee peshaanee pe jab haath rakhaa
Ruuh tak aa ga.ee taaseer maseehaa.ee kee
Ab bhee barsaat kee raaton men badan TooTtaa hai
Jaag uThtee hain ajab khvaahishen Angdhaai kee