nae saal ki pahlii nazm
— Parveen Shakir
Andeshon ke darvaazon par
Koee nishaan lagaataa hai
Aur raaton raat tamaam gharon par
Vahee siyaahi phir jaatee hai
Dukh kaa shab Khoon roz adhooraa rah jaataa hai
Aur shanaakht kaa lamha beettaa jaataa hai
Main aur meraa shahr-e-mohabbat
Taareekee kee chaadar oDhe
Raushnee kee aahaT par kaan lagaa.e kab se baiThe hain
GhoDon kee Taapon ko sunte rahte hain
Had-e-samaa.at se aage jaane vaalee aavaazon ke resham se
Apnee roo-e-siyaah pe taare kaaDhte rahte hain
Angushtaa ne ik ik kar ke chhalnee hone ko aa.e
Ab baaree angusht-e-shahaadat kee aane vaalee hai
Sub.h se pahle wo kaTne se bach jaa.e to!
Andeshon ke darwazon par
Koi nishan lagata hai
Aur raaton raat tamam gharon par
Wahi siyahi phir jati hai
Dukh ka shab KHun roz adhura rah jata hai
Aur shanaKHt ka lamha bitta jata hai
Main aur mera shahr-e-mohabbat
Tariki ki chadar oDhe
Raushni ki aahaT par kan lagae kab se baiThe hain
GhoDon ki Tapon ko sunte rahte hain
Had-e-samaat se aage jaane wali aawazon ke resham se
Apni ru-e-siyah pe tare kaDhte rahte hain
Angushta ne ek ek kar ke chhalni hone ko aae
Ab bari angusht-e-shahadat ki aane wali hai
Subh se pahle wo kaTne se bach jae to!