shab vahii lekin sitaara aur hai

Parveen Shakir

Shab vahee lekin sitaara aur hai Ab safar kaa isti.aara aur hai Ek muTThee ret men kaise rahe Is samundar kaa kinaara aur hai Mauj ke muDne men kitnee der hai Naav Daalee aur dhaaraa aur hai Jang kaa hathiyaar tai Kuch aur thaa Tiir siine men utaaraa aur hai Matn men to jurm saabit hai magar Haashiya saare kaa sara aur hai Saath to meraa zameen detee magar Aasmaan kaa hee ishaara aur hai Dhoop men deevaar hee kaam aa.egee Tez baarish kaa sahaaraa aur hai Haarne men ik anaa kee baat thee Jiit jaane men khasaaraa aur hai Sukh ke mausam ungliyon par gin liye Fasl-e-gham kaa goshvaara aur hai Der se palken nahin jhapkeen miree Pesh-e-jaan ab ke nazaara aur hai Aur Kuch pal us kaa rasta dekh luun Aasmaan par ek taara aur hai Had charaaghon kee yahaan se khatm hai Aaj se rasta hamaaraa aur hai