taraash kar mire baazuu udaan chhod gaya
— Parveen Shakir
Taraash kar mire baazoo uDaan chhoD gaya
Havaa ke paas barahna kamaan chhoD gaya
Rafaaqaton kaa miree us ko dhyaan kitnaa thaa
Zameen le lee magar aasmaan chhoD gaya
Ajiib shakhs thaa baarish kaa rang dekh ke bhee
Khule dareeche pe ik pool-daan chhoD gaya
Jo baadalon se bhee mujh ko chhupaa.e rakhtaa thaa
BaDhee hai dhoop to be-saa.ebaan chhoD gaya
Nikal gaya kaheen an-dekhe paaniyon kee taraf
Zameen ke naam khulaa baadbaan chhoD gaya
Uqaab ko thee gharaz faakhta pakaDne se
Jo gir ga.ee to yoonhee neem-jaan chhoD gaya
Na jaane kaun saa aaseb dil men bastaa hai
Ki jo bhee Thahraa wo aakhir makaan chhoD gaya
Aqab men gahraa samundar hai saamne jangal
Kis intihaa pe miraa mehrbaan chhoD gaya