adaakaarii men bhi sau karb ke pahluu nikal aae
— Pirzada Qasim
Adaakaaree men bhee sau karb ke pahloo nikal aa.e
Ki fankaaraana rote the magar aansoo nikal aa.e
Hamen apnee hee jaanib ab safar aaghaaz karnaa hai
So misl-e-nik.hat-e-gul ho ke be-qaaboo nikal aa.e
Yahee be-naam paikar husn ban jaa.enge fardaa kaa
Sukhan mahke agar Kuch ishq kee khushboo nikal aa.e
Isee ummeed par ham qatl hote aa.e hain ab tak
Ki kab qaatil ke parde men koi dil-joo nikal aa.e
Samajhte the ki mahjooree kee zulmat hee muqaddar hai
Magar phir us kee yaadon ke bahut jugnoo nikal aa.e
Dilon ko jiit lenaa is qadar aasaan hee kab thaa
Magar ab shobade hain aur bahut jaadoo nikal aa.e
Safar kee intihaa tak ek taaza aas baaqee hai
Ki main ye moD kaaToon us taraf se too nikal aa.e