ajab hain ham ye kis ki sai e laa haasil pe rote hain

Pirzada Qasim

Ajab hain ham ye kis kee sa.i-e-laa-haasil pe rote hain Abhee zinda hain aur naakaamee-e-qaatil pe rote hain Hamen rah rah ke toofaan kee rifaaqat yaad aatee hai Hain ab aasooda-e-saahil khaDe saahil pe rote hain Bahut ham ko rulaayaa maazee-o-imroz ne so ab Nashaat-e-girya aisa hai ki mustaqbil pe rote hain Giroh-e-aashiqaan thaa shahr-e-girya un kee manzil thee Ye raste bhar bhee rote aa.e ab manzil pe rote hain Kahaan rote hain ham aaghaaz-e-tanseekh-e-ta.alluq par Jo kheenchee jaa chukee hai us had-e-faasil pe rote hain