ayaan ham par na hone ki khushii hone lagii hai
— Pirzada Qasim
Ayaan ham par na hone kee khushee hone lagee hai
Diye men ik na.ee see raushnee hone lagee hai
Na.ee kuch hasraten dil men baseraa kar rahi hain
Bahut aabaad ab dil kee galee hone lagee hai
So tai paayaa masaa.ib zindagee ke kam na honge
Magar kam zindagee se zindagee hone lagee hai
Udhar taar-e-nafas se aa milee hai raunaq-e-zeest
Idhar kam mohlatee men bhee kamee hone lagee hai
Sar-e-aaghaaz dil kee daastaan men wo nahin tha
Magar mahsoos ab us kee kamee hone lagee hai
Hamaaree dostee kaa dam bharen aise kahaan hain
Zamaane sab se teree dostee hone lagee hai