dard hai ki nagma hai faisla kiyaa jaae
— Pirzada Qasim
Dard hai ki naghma hai faisla kiyaa jaa.e
Ya.anee dil kee dhaDkan par ghaur kar liyaa jaa.e
Aap kitne saada hain chaahte hain bas itnaa
Zulm ke andhere ko raat kah diyaa jaa.e
Aaj sab hain be-qeemat girya bhee tabassum bhee
Dil men hans liyaa jaa.e dil men ro liyaa jaa.e
Be-hisee kee Dunya se do savaal mere bhee
Kab talak jiyaa jaa.e aur kyon jiyaa jaa.e
Ab to faqr-o-faaqa kee aabroo isee se hai
Taar taar daaman ko kyon bhalaa siyaa jaa.e