din guzarte hain jo andesha o afkaar ke saath

Pirzada Qasim

Din guzarte hain jo andesha-o-afkaar ke saath Dil dhaDaktaa hai magar ranj-e-giraan-baar ke saath SainkaDon barson pe phailee hain hikaayaat magar Vaaqa'e ek se vaabasta hain talvaar ke saath Yuun to sangeenee-o-baalaa-qadee achchhee hai magar Ek saa.e kaa tasavvur bhee hai deevaar ke saath Ab khalaa apnee hee jaanib ye safar hai ki yahaan Faasle aur baDhe garmee-e-raftaar ke saath Kisee tanhaa se 'ajab garmee-e-baazaar rahi Ek amboh-e-tamannaa tha khareedaar ke saath