hai jabr vaqt kaa qissa ajab sunaae kaun
— Pirzada Qasim
Hai jabr vaqt kaa qissa ajab sunaa.e kaun
Main yaad us ko karoon aur yaad aa.e kaun
Ye baat bujhte diyon ne kisee se poochhee thee
Jale to ham the magar khair jagmagaa.e kaun
Use talaash to karnaa hai phir ye sochtaa hoon
Zamaana aur hai ab zahmaten uThaa.e kaun
Yahaan to apne charaaghon kee fikr hai sab ko
Diyaa jalaayaa hai sab ne diye jalaa.e kaun
Yahaan to log inhee hairaton men jiite hain
Ki tiir kis pe chale aur zakhm khaa.e kaun
Yahaan to jaagtee aankhon men khvaab jaagte hain
Jo jaagte hon unhen khvaab se jagaa.e kaun
Yahaan kisee ko kisee kee khabar nahin miltee
Magar ye be-khabaree kee khabar sunaa.e kaun
Yahaan to sub.h se pahle hee bazm barham hai
Diyaa bujhaa de koi par diyaa bujhaa.e kaun