ham se na puuchh jaaegii hijr ki rahguzar kahaan
— Pirzada Qasim
Ham se na poochh jaa.egee hijr kee rahguzar kahaan
Shaam huee to thee kaheen sub.h huee magar kahaan
Daana-o-daam se pare meree uDaan yaad kar
Mujh ko talaash kar na dekh rakhe hain baal-o-par kahaan
Ishq-e-hisaar-e-zaat se duur bahut nikal gaya
Aise men jabr-e-vaqt bhee hota hai kaargar kahaan
Valvala-haa-e-shauq sab sarf-e-muhaajrat hue
Ab sar-e-manzil wafa DhoonD rahe ho ghar kahaan
ChhoD ke kaarvaan-e-shauq manzil-e-gham pe kar qayaam
Misl-e-ghubaar-e-kaarvaan phirtaa hai dar-ba-dar kahaan