ishq ne ham ko junoon aasaar aisa kar diyaa

Pirzada Qasim

Ishq ne ham ko junoon-aasaar aisa kar diyaa Basta-e-saahil bhee rakkhaa aur Dariya kar diyaa Is gulistaan-e-gumaan men ham bhee the maanind-e-khvaab Garmee-e-andesha ne ham ko bhee sahraa kar diyaa Deeda-e-khush-been kee ye e.ajaaz-farmaa.ee to dekh Kaise mub.ham khaal-o-khat ko ek chehraa kar diyaa Ye jahaan pinhaan thaa ik be-manzaree kee khaak men Ham ne chashm-e-shauq se dekhaa to Dunya kar diyaa Ruashnee-e-tab.a ne raushan kiyaa hai ik jahaan Aur mujhe is aa.ina-khaane men tanhaa kar diyaa Jab kabhi shab-zaad lamhe gherne aa.e hamen Ham ne sham-e-jaan jalaa.ee aur saveraa kar diyaa Ye karaamat bhee ajab us kee maseehaa.ee men hai Jo ba-zaahir bhar diyaa wo zakhm gahraa kar diyaa Muntazir thaa vaqt so ham ne ba-andaaz-e-sukhan Aarzoo kaa ik jahaan-e-taaza paidaa kar diyaa