jaise yaad e imbisaat o gam shakebaaii ke baad
— Pirzada Qasim
Jaise yaad-e-imbisaat-o-gham shakebaa.ee ke baad
Der tak rote rahe ham bazm-aaraa.ee ke baad
Ai sarisht-e-shauq ab naapaid ho kar dekh le
Aur kya honaa hai is hone kee rusvaa.ee ke baad
Is qadar saffaak kab thee waqt kee be-manzaree
Kor-chashmee se bhee baDh kar dukh hain beenaa.ee ke baad
Khud ko paa lene kee hasrat men bahut rusvaa hue
Kuch sivaa rusvaa.iyaan hain ab shanaasaa.ee ke baad
Be-masaafat ik safar dar-pesh rahnaa chaahiye
Sochte hain umr bhar kee jaada-paimaa.ee ke baad
Kal main khud se silsila-dar-silsila miltaa raha
Aalam-e-tanhaa.ee jaise dasht-e-tanhaa.ee ke baad
Hai vahee sahraa magar shaadaab kitnaa ho gaya
Rah-navardaan-e-junoon kee aabla-paa.ee ke baad
Dil men ab pahlee see wo gunjaa.ishen baaqee nahin
Pahle ik daalaan aa jaanaa tha angnaa.ee ke baad